Sulook us ny muj se kisi sigret ka sa kia,
Pehly jalaya, phir piya, paon rakha bujha diya,
Yani talab thi usko myri kuch waQt k liye,
pehly lagaya hont sy or phir dhuwen me ora dia,
Apni saansen khench k myri khushbu khud me basa li,
Myri jalti hoi raakh ko apni ungliyon sy gira dia .
|
Chahat ke mehfil main bulaya hy kisee nay,
Khud bulaa ker phir sataya hy kisee nay,
Jab tak jali hy shama jalta raha parwanaa,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hy kisee nay
Armaan mere raiza raiza ho gye hain,
Yun kil k aangan sy giraya hey kisee nay,
Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hy kisee ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kr k kisee ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hy kisee nay,
Sangdil jo tha aaj woh b ro parha
Us ko bhi tarpaya hy kisee nay,
|
Mainbhi khamosh nigahon say usay dekhta hoon,
Wo bhi chupke say kabhi aa k sada deti hai,
Kya khabar kal ki magar hamne suna hai aksar,
Rafta rafta yeh ada pyar barha deti hai.......!!!
|
kaise bataon kya ho tum
khattara car ho tum
bina light ka lamp ho tum
bina law ki mombatti ho tum
kya samjhta hai khud ko
patla khada hua danda ho tum
kisi murgi ka sada hua anda ho tum
padosiyo ke gale ka fanda ho tum
|
Jb se begum ne muje murga bana rakha ha
MaiN ne nazroN ke tara sir be jhuka rakha ha
Bartano! Aaj mere sir pe baraste kyuN ho
MaiN ne tum ko to hamesha se dhula rakha ha
Pehle Belen ne banaya tha mere sir pe Ghomer
aur ab Chimty ne mera gaal saja rakha ha
Sare kapre tu jala dale haiN begum ne
tan chupane ko Banyan phata rakha ha
Wahi Dunya maiN muqadder ka Sikander yahaN Tera
Jis ne khud ko abhi Shaadi se bacha rakha ha
Pi ja is maar ki talkhi ko bhi haNs ker Nasir
Maar khaney maiN bhi Qudrat ne maza rakha ha
|
Student : Yun Fail Jo Karna Tha Pehlay Se Bata Daitay
Hum Sari Kitabon Ko Chulhay Main Jalla Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Akhir
Haan! Paas Tu Ho jatay Jo Nakal Kara Daitay
Parche Jo Mile Hum Ko Sab Khali Diye Hum Nien
Ae Kash! Safai Ke Number He Dila Daitay
Teacher: Yun Fail Jo Hona Tha Pehlay Hi Bata Daitay
Abba Se Kaha Hota,Thela Hi Laga Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Phir Bhi
Haan! Paas Tu Kar Daitay Jo Akkal Larda Laitay
Parche Jo Mille Tum Ko Sab Khaali Diye Tum Nien
Kaash! Sayahee Se Dhabay He Bana Daitay
|
Jo Meri aankhon se Khuwab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
K Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh
Mere Dukhon ki kitaab hain yeh
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti
|
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon
Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit
|
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !
apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain
|
Wafa ruswa nahi karna…Suno aisa nahi karnaMai pehle hi akela huMuje tanha nhi karna,Judai aa b jaye toYe dil chota nhi karnaBohat musroof ho janaMuje socha nhi karna,Barosa b zarori haiMagar sub ka nhi karnaMuqadar to muqadar haikabi shikwa nahi karnaMeri takmeel tum se haimuje adha ni karnasuno asa soocha nahi kerna.
|
Suno, Kaanch ki Gurya, Agar ejazat do Eik Sargoshi Karon Tumharey kanon men Chupke se Dherey se Dhemey se suna don woh such woh jo meray dil men hay ke tum bohat sundar ho Chand ki chandni se ziada Din ke ujaley se ziada Read the rest of this entry »
|
Khamoshi mein shor tha Us ne kaha kuch bhi nahi
|
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay, Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,
|
Din apnay Chiragon ki Maanind Guzarty hain Har subah ko bujh jana Har shaam ko jal jana Bachon ki c fitrat hai ham ahl_e_muhabat ki Zid karna machal jana Phir khud hi sambhal jana Wo shakhs bhala Mera kiya saath nibha paata.. Mosam ki tarah jiss ne seekha hai badal jana.
|
Mere Hont mat see mujhe izhar ka moqa de de. Ishq jurm hai to iqraar ka moqa de de. Aankhon ankhon hi me keh loon ga jo kehna hai, Ak pal k liye deedar ka moqa de de. Kar le tasleem meri khamosh mohabat ko, Ya sar-e-aam mujhe piyar ka moqa de de. Khatam kar de dar-o-deevar ki har pabandi, Ya tawaf-e- dar-o-deevar ka moqa de de. Jeet jana mera shayad tujhe bardasht na ho, Khair aesa kar mujhe Haar ka moqa de
|
ek bar kar k aitbar likh do, kitna he mujh se pyar likh do, kat ti nahi ye zindagi ab tere bin, kitna or karo intezar likh do, taras rahe hain bari muddat se, is bar apni muhabbat ka izhar likh do,
|
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili, Jaise Chaahte Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili, ; Milne Ko Zindgi Main Kayi Humsafer Miley, Par Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili, ; Chehron Mein Duusron Ke Tumhe Dhoondhte Rahe, Surat Nahi Milli Kahin Seerat Nahi Mili, ; Bohut Deir Se Aaya To Mere Pass Kya Kahoon, Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mouhlat Nahi Mili, ; Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajoh Na Di Tujhe, Lekin Humein Khud Apni Mohabbat Nahi mili, ; Her Shakhas Zindgi Mein Bohut Deir Se Mila, Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili, ; Hum Ko To Teri Aadatein Achhi Lagin, Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Milli,
|
Tumhe chaha tha is dil ne aur chahta hai ye aaj bhi chhupaya tha ye raaz pehle bhi aur chhupa hua hai ye aaj bhi kuch majboorio k waaste tumhe bekhabar rakha aur majboorio ki zanjeer se hain bandhe hum aaj bhi chhaha to nahi tha k tum bin zindagi guzre par tumhare muskurate chehre ne qadam roke mere aaj bhi yeh such sahi k bane thay tum jeene ki wajah magar dekho kismat ka faisla nikla alag aaj bhi bhoolenge shaayad tumhe dheere dheere sadiyo main hum magar such poocho to lagti hai tumhari zaroorat is zindagi ko aaj bhi..
|
kyon mje se gurezan ho mje saaf batado agar jurm mohabbat hai tu phir us ki saza do ab dard ki shidat me wo tezi nahi baqilao ab khunjar mujhe ek zakhm naya do rakho nakoie bat b tum dil me chupa kar me rah ki deewar hon tum mujhe ko girado is dour ka mayar-e-mohabbat b hai dolat thukaro magar kuch meri qeemt hi laga do tarso na kabhi pyar kop meri yeh dua hai a kash! fakt tum b mujhe yehi dua do
|
Kabi is nagar tuje dekhna kabi us dagar tujhe dhoondna kabi raat bhar tuje sochna kabi raat bhar tujhe khojna, Mera khwab tha k khyal tha wo urooj tha k zawaal tha teri yaaf ayi tu ro diya jo tu mil gaya tujhe kho diya, Mere silsily b ajeeb hain tuje chor kr tuje dhoondna kabhi is nagar kabi us dagar.
|