Mujhy apni mehbooba
se milne ka bara shoq tha
usey qareeb se dekhney ka bara shoq tha
1 din likh diya khat usko sabar kar k
dil main armanon ki qabar kar k
bholi bhali samaj na saki mere pyar ko
de diya khat apne bhai gulzar ko
meine darya ki 1 bari mooj dekhi
jab apne pechey Gulzar ke fooj dekhi,
un k maarne se jism se saaz nikal rahe they,
mun se agley pichley raaz nikal rahey they,
logon ne kaha kis pe azaab aaya ha,
dil ne kaha khat ka jawab aaya ha.
|
kuch mae-kashi k qissay kuch aashqi k qissay
main likh raha hun apni aaw?rgi k qissay
kya zor tha hawa ka bujh gaye chiragh saaray
kis ko sunauN ja kar main roshni k qissay
thora sa muskur?na, phir sar jhuka k rona
kitnay ajeeb se hain ye zindagi k qissay
|
agar vo mehrbaaN hota
to meri aankhoN me na jhilmilati ye nami hoti
na mere dil ki waadi me khizaaN ka qaafla rukta
meri be-noor aankhoN me sitaaray qaid kar deta
meri zakhmi hatheli per vo koi phool rakh deta
mere hathoN ko apne hathoN me le kar vo ye kehta
mohabbat roshni hai, rung, khushbu hai, sitara hai
qasam mujh ko mohabbat ki, mujhe tu sab se pyara hai
magar aisa vo tab kehta?
agar vo mehrbaaN hota?.
|
Udas kiyon dil hy ye barishon ka musam hy, ankh kiyon purnam hy ye barishon ka musm hy, honton ki sargoshian chand kahien sun na le, sanson ko mehakny do barishon ka musm hy, hathon ki mehndi ko dhona mat barish mien, naam hmara mehakny do barishon ka musam hy, shaal tm orho nhn, chatri mien kholon nhn, kaisi kurbartien hn ye or barishon ka musam hy, abr sara jal thal hy pr tm jo mere pass nhn, honton ki ye tashnagi or barishon ka musam hy
|
Wo tuJe azma k chor gye.mere dil ko dukha k chor gye.ab kahan muJh ko la k chor gye.dil se unko dia tha Jo tohfa.mez pr muskura k chor gye.unka puchun pta me kis kis se.wo Jo apna bna k chor gye.ek diya tha arzuon ka.hm ise b Jla k chor gye.dost kaise mile hamain rana.mekde main pila k chor gye.
|
Mere wajod ki mujh mi talash chor gaya , jo pori na ho kabi aisi as chor gaya . Yehi karam Nawazii hai uske mujh pe kam ha kia , k khud to dor hai Yadain to pas chor gaya . Jo khawahishen thi kabi Hasraton mi dal gai ?b . Mere l?bon pe vo ek lafaz kash chor gaya . Yi mera zarf hai ik roz us ne mujh si kaha , k aam logon mein ek tujh ko hi khas chor gaya . BAHARON si is liye mujhe nafarat hai WASIF ~ inhi ruton mi mujhe vo shaks udas chor gaya
|
Hr cheez zmane ki ayina dil hoti.khamosh muhbt ka itna to sila hota.tum haal preshan ki pursish k liye ate.sehraye tmnna me mela sa lga hota.hr gaam pe kaam aye zulfon k tere saye.ye qafla-e-hsti berehnuma hota.ehsas ki dali pr ek phool mehkta hai.zulfon k liye tum ne ek roz chuna hota
|
Ankhon ki tarha raaz hai khulta b nahi woSelaab b ban jata hai dariya b nahi woIs baar zameen aankh ki banjar hi rahay giIs baar to sawan ka sandesa b nahi wo.Us shakhs k pehloo me sakoon kitna hai jab k.Gerja nahi mander b nahi wo.Main yaad rahun usko itna b nahi hai.Khud yaad na aeye mujhe aisa b nahi wo.Us shakhs ki fitrat b Faraz Meri trha hai.Jalta hua sehra b hai pyasa b nahi wo.
|
Na Tujh ko chorr sktay hain
Tery ho b nhi sktay
Ye kesi Bebasi hai k
Hum Ro b nhi sktay
Ye kesa Dard hai jo Pal Pal Hmain
Tarrpaye rkhta hai
?TUMHARI YAAD?
Ati hai to phir so b nhi sktay
Chupa sktay hain aur na Hum dikha sktay hain Logon ko
Kuch aise Dagh hain dil pr jo Hum dho b nhi sktay
Kaha tha chorr dain ge ye Nagar phir ruk gaye lakin!
?Tumhain paa too nahi sakty magar kho b nhi sakty
|
Yehi arzu rhi umer bher k muhbtain mere sath hon,
kbi esa ishq kia nhi k nidamten mere sath hon,
koi esa harf nhi likha k ho shermsar qlam mera,
koi esa jurm nhi kia k wazahaten mere sath hon,
Faqat ek shakhs ki arzu men guzer rahi he ye zindgi,
ye talab nhi k tamam shehr ki chahatn mere sath hon,,,,,,!
|
teri nigaaah agar meharbaan ho jaye
main jiss zameen pe hoon wo aasmaan ho jaye
agar hai ab bhi tum,hen shak meri wafaon per
to phir ik baar mera imtehaan ho jaye
khuda se ye dua karta hoon har namaaz k baad
tamaam mulk main amno amaan ho jaye agar meharbaan ho jaye
main jiss zameen pe hoon wo aasmaan ho jaye
agar hai ab bhi tum,hen shak meri wafaon per
to phir ik baar mera imtehaan ho jaye
khuda se ye dua karta hoon har namaaz k baad
tamaam mulk main amno amaan ho jaye
|
zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga
tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga
teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga
|
yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo
mor chakor papiha koyal sab ko mat karo
sawan to man bagiya se bin barse bit gaya
ras mein dube nagme ki ab tum barsat karo
hijr ki ik lambi manzil ko janewala hun
apni yadon ke kuch saye mere sath karo
main kirnon ki kaliyan chunkar sej bana lunga
tum mukhre ka chand jalao raushan rat karo
pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yar “Qateel”
gali-gali taqsim na tum apne jazbat karo
|
yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana
ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta’alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana
yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana
zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana
jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi “Qateel” us ko nasha ho jana
|
ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun ‘Qateel’
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe
|
yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale k liye talwar na mango
gir jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango
khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi
kanton se kabhi phul ki mahkar na mango
sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala
jina hai to phir jine ka izhar na mango
us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango
|
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kare
rahega sath tera pyar zindagi bankar
ye aur bat meri zindagi wafa na kare
ye thik hai nahin marta koi judai mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare
suna hai usko mohabbat duayen deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare
zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
“Qateel” jan se jaye par iltaja na kare
|
ulfat ki nai manzil ko chala, tu banhen dal k banhon mein
dil torne wale dekh k chal, ham bhi to pare hain rahon mein
kya kya na jafayen dil pe sahin, par tum se koi shikwa na kiya
is jurm ko bhi shamil kar lo, mere masum gunahon mein
jahan chandni raton mein tum ne khud hamse kiya iqarar-e-wafa
phir aj hain ham kyon begane, teri beraham nigahon mein
ham bhi hain wahin, tum bhi ho wahi, ye apni-apni qismat hai
tum khel rahe ho khushiyon se, ham dub gaye hain ahon mein
|
tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai
jit le jaye koi mujhko nasibon wala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai
jane kab aye koi dil mein jhankne wala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai
imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dharkan ko bhi sine mein chupa rakha hai
|
tumhari anjuman se uth k diwane kahan jate
jo wabasta hue tum se wo afsane kahan jate
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na maikhana
to thukaraye hue insan Khuda jane kahan jate
tumhari berukhi ne laj rakh li badakhane ki
tum ankhon se pila dete to paimane kahan jate
chalo acha hua kam a gai diwanagi apni
wagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jate
‘Qateel’ apna muqaddar gam se begana agar hota
phir to apane-paraye hamse pahchane kahan jate
|